Saturday, March 14, 2015

Mera us shehr-e-adawat mein basera hy jahan,,, Log sajdon mein b logon ka bura sochty hain,,,

Kia poochty ho tere hijar mein kya sochty hain,,,
Saja k tum ko ankhon mein sada sochty hain,,,
Tere wajood ko chu kar guzarti hai kabhi,,,
Hum us hawa ko b jannat ki hawa sochty hain,,,
Ye apne zarf ki baat hy ya faqat tera lehaaz,,,
Tere sitam ko muqaddar ka likha sochty hain,,,
Mera us shehr-e-adawat mein basera hy jahan,,,
Log sajdon mein b logon ka bura sochty hain,,,

Sunday, September 28, 2014

Wo Jazbon Ki Tijarat Thi Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Wo Jazbon Ki Tijarat Thi Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha


Wo Jazbon Ki Tijarat Thi,Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha
Ussey Hansney Ki Aadat Thi,Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Mujhey Uss Ney Kaha Aao Nai Dunya Basatey Hain
Ussey Suji Shararat Thi,Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Humesha Usski Aankhon Main Dhanaq K Rung Hotey Thay
Yeh Usski Aam Aadat Thi,Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Wo Mairey Pass Bethi,Dair Tak Ghazlein Meri Sunti
Usssey Khud Sey Mohabbat Thi ,Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Mairey Kandhay Par Sir Rakh Kar Kahein Par Kho Gai Thi Wo
Yeh Ek Waqti Enayat Thi,Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Mujhey Wo Dekh Kar Aksar Nighahein Phair Leyti Thi
Yeh Dar Parda Haqarat Thi,Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Thursday, May 22, 2014

Gayee ruton main sham o saher na tha aisay.....ka hum udaas bohot tha magar na tha aisa

Gayee ruton main sham o saher na tha aisay
ka hum udaas bohot tha magar na tha aisa

Yahan bhi  phool sa chehra dikhayee daitay tha
yeh ab jo hain yehi deewar o dar na tha aisa

millay to khair na milna pa ranjashain kaisi
ka us sa apna marasim tha par na tha aisa

rafaqaton sa marra hoon musafton sa nahin
safar wohi tha magar humsafar na tha aisa

humahi tha jo tera ana tak jalay warna
sabhi chiragh sar-e-rehguzar na tha aisa

dil-e-tabah tujha aor kiya tasalli dain
tera naseeb tera chara gar na tha aisa

faraz khush ho aisa ka ihsan us sitamgar ka
jo tujh pa hain woh kissi aor pa na tha aisa

Tuesday, July 26, 2011

Inhi Pattharon pe chal ker agar aa sako to aao (Parveen Shakir)

koi Hum-Nafas nahi hai koi Raazadan nahi hai
Faqat Ek Dil tha Apna so wo Meharban nahi hai

kisi aur Ghum mai itni Khalish-e-Nihan nahi hai
Ghum-e-Dil mera Rafiq-o-Ghum-e-rayegan nahi hai

Meri Rooh ki Haqeeqat mere Aansuon se pucho
Mera Majalisi Tabassum mera Tarjuman nahi hai

Kisi Aankh ko sada do kisi Zulf ko pukaro
Bari Dhoop par rahi hai koi Sayebaan nahi hai

Inhi Pattharon pe chal ker agar aa sako to aao
Mere Ghar k Raaste mai koi Kahakashan nahi hai

Wednesday, July 20, 2011

Khird (Dimaagh/Aqal) By Alama Iqal

Khird (dimaag) ke paas khabar ke siwa kuch aur nahi
Tera ilaaj nazar ke siwa kuch aur nahi

[This is referred to Allah that our brains have nothing but
information about you. But if we could see you then all the problems
of believing would be solved.]

Har makam se aage makaam hai tera
Hayaat zoq-e-safar ke siwa kuch aur nahi

[Always keep travelling in search of new goals because life is nothing
but a pleasurous journey.] Lovely :)

GiraN baha (costly price) hai to hifz-e-khudi (preservation of self) se hai warna
Gohar mein aab-e-gohar ke siwa kuch aur nahi

[A pearl is just a drop of water which has preserved itself in a shell.
It is because of this preservation ability that it is so costly or else
it is just a drop of water. It implies that one should guard his khudi
to become valuable in the sight of others.]

Monday, November 2, 2009

Pyar k Deep Jalanay walay , KUCH KUCH PAGHAL HOTAY HAIN

Pyar k Deep Jalanay walay , KUCH KUCH PAGHAL HOTAY HAIN
Apni Jaan se Janay walay ,KUCH KUCH PAGHAL HOTAY HAIN
Hijar kay gehraay zakham milay to mujh ko yeh Ehsas hoa
Pagal ko samjhanay walay , KUCH KUCH PAGHAL HOTAY HAIN
jaan se pyaray Logoon se bhi kuch kuch parda laazim hay
Saari Baat Batanay walay , KUCH KUCH PAGHAL HOTAY HAIN
Us kay ishq main bheeg kay hum ko yeh ehsas hoa
Dil ki Baat main Aanay walay , KUCH KUCH PAGHAL HOTAY HAIN

Monday, August 10, 2009

Mohabbat ki tabiyat main ...ye kaisa bachpana qudarat ne rakha hai...By Amjad Islam Amjad

Mohabbat ki tabiyat main
ye kaisa bachpana qudarat ne rakha hai
k jitni purani jitni bhi mazbut ho jaye
ise taid-e-taza ki zarurat phir bhi rahti hai
yaqin ki akhiri had tak dilon main lahlahati ho
nigahon se tapakti ho lahu main jagmagati ho
hazaron tarah se dilkash hasin halay banati ho
usay izhar k lafzon ki hajat phir bhi rahti hai
mohabbat mangati hai yun gavahi apane hone ki
k jaise tifl-e-sada sham ko ik beej boye
aur shab main baarha uthe
zamin ko khod kar dekhe
k paudha ab kahan tak hai
mohabbat ki tabiyat main ajab takrar ki khu hai
k ye iqrar k lafzon ko sunane se nahi thakati
bicharne ki ghari ho ya koi milane ki sa'at ho
isay bas ek hi dhun hai
kaho mujh se mohabbat hai
kaho mujh se mohabbat hai
Mohabbat ki tabiyat main
ye kaisa bachpana qudarat ne rakha hai